Guys Yadi aap Indane gas customer hai to aapke liye hamare pass kuchh good news hai. Aap aasani se WhatsApp ke madhyam se apne gas cylinder ko book kar sakte hain. Halaki pahle ki tarah IVRS (Inter Active Voice Response System) facility ke madhyam se bhi booking jari rahegi lekin company ne booking aur delivery ke liye yah new facility start ki hai.
Is facility ki madad se customer Apne register mobile se kafi aasani se new gas booking kara sakta hai Keval ek WhatsApp karke aur uska status Jaan sakta hai. Agar customer ke pass registered mobile number mein WhatsApp install nahi Hai. To vah kisi dusre WhatsApp number se bhi apni Gas booking karva sakta hai.
How To Book Indane LPG Gas Cylinder Through WhatsApp
- Apne mobile mein 7588888824 number save kar le.
- Mobile mein WhatsApp open Karen aur jo number save karaya tha uss number ke page ko open kar le.
- Agar aap apne gas cylinder ki booking Karana chahte Hain To type Karen :- REFILL
- Agar aapke registered mobile mein WhatsApp install nahi Hai To kisi dusre mobile number mein vah number save karke WhatsApp open kar le. Gas booking karne ke liye type Karen :- REFILL#<17-Digit-LPG-ID>
Example:- REFILL#31245678991234567
17 digit ki LPG ID aapke pichle gas cylinder ki booking ki slip mein likhi hogi. Agar aapke pass vah slip nahi Hai to aap online Bina registration kiye Jaan sakte ho apni LPG ID. Iske upar Maine ek artical likha hua hai.
How To Find Indane Gas LPG ID Number Online
- Agar aap apni Gas booking ka status check karna chahte hain to type Karen :- STATUS#<Order-Number>
Example:- STATUS#2-00037xxxxxxx