How To Book HP LPG Cylinder From WhatsApp | Check Your Subsidy And LPG ID

How To Book HP LPG Cylinder From WhatsApp | Check Your Subsidy And LPG ID

Guys Yadi aap HP gas customer hai to aapke liye hamare pass kuchh good news hai. Aap aasani se WhatsApp ke madhyam se apne gas cylinder ko book kar sakte hain. Halaki pahle ki tarah IVRS (Inter Active Voice Response System) facility ke madhyam se bhi booking jari rahegi lekin company ne booking aur delivery ke liye yah new facility start ki hai.

Is article mein main aapko bataunga ki aap kaise WhatsApp karke apna HP gas cylinder book kar sakte hain. LPG ID Jaan sakte hain. Apne gas connection ki subsidy bhi whatsapp ke madhyam se dekh sakte hain.

Note :- Is facility ko use karne ke liye aapko Apne registered mobile number matlab jo mobile number aapne HP gas connection mein registered karaya hoga Keval usi number ke WhatsApp se yah service use ki ja sakti hai.

How To Book HP LPG Cylinder From WhatsApp | Check Your Subsidy And LPG ID

  • Apne mobile main 9222201122 number save kar le.

  • Apne mobile mein WhatsApp open Karen aur jo number save karaya tha uss number ke page ko open kar le.

  • Agar aap apne gas cylinder ki booking Karana chahte Hain To type Karen :- HPGASBOOK

  • Agar aap apne connection ki subsidy ka status check karna chahte hain to type Karen :- Subsidy

  • Agar aap apne gas connection ki LPG ID Janna chahte Hain To type Karen :- Lpgid

  • Agar aap Janna chahte Hain ki current year mein aapne kitne cylinder book kara chuke Ho to type Karen :- Quota

(Government rule ke hisab se customer ko 1 sal mein subsidy wale 12 cylinder hi provide kiye jaate Hain jinhen Quota kaha jata hai)

Aap Jo bhi Janna chahte Hain usse type karne ke bad send kar de to HP company ki taraf se aapke pass reply aa jaega.
ViewCloseComments
Cancel