Guys Kayi Bari aisa hota hai ki aapke pass Jo fastag hai uska customer ID aur wallet ID kho jata Hai ya aap bhul jaate Hain To apko sabse Badi problem aati hai ki fastag ki site per login kaise karen kyunki Bina customer ID aur wallet ID ke login karna impossible hota Hai jis Karan aap apna fastag recharge bhi nahi kar paate.
To aapki isi problem ka solution le aaya hun Agar aapke pass wallet ID aur customer ID number nahi Hai tab bhi aap apne fastag ko recharge kar sakte hain. Aur Agar aapke pass sari ID hai tab bhi aap Bina login kiye aasani se apne fastag ko recharge kar sakte hain vah bhi kisi bhi application jaise Paytm, phonepe, Google pay and bhim etc. Ki madad se.
Maine niche jitne bhi Bank fastag issue karte hain unka UPI ID di Hai isi ID ki madad se aap apne fastag ko recharge kar sakte hain. aap kisi bhi application jismein UPI se fund transfer Kiya jata hai usmein jakar niche di gayi apni UPI ID dalni hai aur aapka fastag recharge ho Jayega.
Sr.No. | Bank Name | Bank Handle |
---|---|---|
1 | Airtel Payment Bank | Netc.VRN@mairtel |
2 | Axis Bank | Netc.VRN@axisbank |
3 | Bank Of Baroda | Netc.VRN@barodampay |
4 | City Union Bank | Netc.VRN@cub |
5 | Equitas Small Finance Bank | Netc.VRN@equitas |
6 | Federal Bank | Netc.VRN@fbl |
7 | HDFC Bank | Netc.VRN@hdfcbank |
8 | ICICI Bank | Netc.VRN@icici |
9 | IDFC Bank | Netc.VRN@Idfcnetc |
10 | Indusind Bank | Netc.VRN@Indus |
11 | KVB Bank | Netc.VRN@Kvb |
12 | Kotak Mahindra Bank | Netc.VRN@Kotak |
13 | Paytm Bank | Netc.VRN@paytm |
14 | Punjab National Bank | Netc.VRN@pnb |
15 | South Indian Bank | Netc.VRN@sib |
16 | State Bank of India | Netc.VRN@sbi |
17 | IDBI Bank | Netc.VRN@idbi |
18 | Union Bank Of India | Netc.VRN@unionbank |
19 | Bank Of Maharashtra | Netc.VRN@mahb |
20 | NHAI Prepaid Wallet | Netc.VRN@indus |
*VRN = Vehicle Registration Number
Example :- Netc.HR53AX1234@icici