Guys agar aap Indane Gas ka cylinder use karte ho aur aapka mobile number ya email ID wrong register ho gaya hai ya kisi Karan varsh change karna chahte ho to yah artical aapki kafi jyada help Karega kyunki is article main aapko yah bataunga ki aap kaise kafi aasani se Apne Indane gas connection mein apna mobile number ya email ID change kar sakte ho vah bhi kuchh steps ko follow karke.
How To Change Mobile Number And Email ID In Indane Gas Online
How To Change Mobile Number And Email ID In Indane Gas Online
- Go to Indane Oil Portal
- Ab aap login ke link par click kar de.
- Login karne ke liye aapko apna register mobile number ya email id enter karna hai.
- Enter karne ke bad Continue button per click kar de.
- Ab ek new page open hoga jismein aapko apna password enter karna hai.
- Password enter karne ke bad Re-captcha mein I'm not a Robot box Par click kar de.
- Last mein SUBMIT button par click kar de.
- Login hone ke bad LPG option ko select kar lena hai.
- Ab ek dashboard ka page open hoga. Yahan per Apne Naam ke just niche Edit ka link hoga uss per click kar de.
- Is profile page mein aapko Mobile Number and Email ID ka option dekhne ko milega.
- Agar aapko Mobile Number change karna hai to Mobile Number ke theek sath mein Change ke link per click kar de.
Agar aap new mobile number add karna chahte hain matlab old number bhi rahe Sath hi new number bhi add ho jaaye to uske liye aapko Add new mobile no. per click karna hoga.
- Agar aapko Email ID change karna chahte hain to Email ID ke theek sath mein Update ke link per click kar de.
Agar aap new email ID add karna chahte hain matlab old email ID bhi rahe Sath hi new email ID bhi add ho jaaye to uske liye aapko add new Email ID per click karna hoga.
- Mobile number/email ID jo bhi aap change karna chahte hain to vah new mobile number/email id enter kar de.
- Detail enter karne ke bad Submit per click kar de.
- Aapne Jo new mobile number/email id enter kiya hoga uss per 4 digit ka OTP aaega vah OTP yaha per enter kar de.(Agar OTP receive nahi hua hai to Resend OTP per click karke OTP dobara Manga sakte ho)
- OTP enter karne ke bad verify OTP per click kar de. Uske bad aapko apna account logout karna padega ya automatic logout ho jaega jab aap fir se login karenge to aap ki new information update hokar hi aaegi.