How To Find Indane Gas LPG ID Number Online


Guys agar aapke ghar ya shop per Indane Gas ka cylinder hai aur aap uska LPG ID number (yah number 17 digit ka hota hai) nahi jante to yah article aap ki kafi jyada madad Karega.

Aap LPG ID ke bare mein agar nahi jante ki iska kya use hota hai to aapko main yah Bata deta hu. LPG ID ka use Indane Gas ki website or application main enter Kiya jata hai taki aapka vah gas connection online aapke account se link ho jaaye.

Aur is LPG ID number ki madad se aap online ya offline check kar sakte hain ki aapko subsidy milti hai ya nahi. Agar mil rahi hai To har mahine kitni milati hai yeah detail bhi tabhi check kar sakte hain jab aapke pass LPG ID number hoga.

How To Find Indane Gas LPG ID Number Online

  • Go to Indane Gas Website
  • Ab aapke samne Find Your LPG ID ka page open ho gaya hoga.
  • Is page mein aapko 2 option milenge LPG ID find karne ke liye.
  1. Quick Search
  2. Normal Search
To aap Quick search ko select kar le.

  • Ab niche ki taraf aapko 2 tarah ke entry box dekhne ko milenge.
  1. Mobile number
Or
  1. Distributor Name
  2. Consumer Number
In dono options mein se kisi 1 main aapko apni detail Bharani hai.

  • Mobile number :- ismein vah mobile number aaega Jo aapane gas connection lete samay registered karaya hoga.
  • Distributor Name :- Indane Gas ke jis distributor se connection liya hai uska naam likhna hai. Ya Naam aapki Gas passbook mein mil jaega ya Jo ghar/shop per cylinder deliver hota hai uske cash memo ki slip per dekhne Ko mil jaega.
  • Consumer Number :- Yah number apki gas passbook mein likha hua mil jaega ya Jo Ghar/Shop per cylinder deliver hota hai uski cash memo ki slip per dekhne Ko mil jaega.

  • Information bharne ke bad niche ki taraf Re-Captcha ka option hoga. Jismein aapko I'm not a Robot wale box mein touch kar dena hai.

  • Last mein PROCEED button per click kar de. 

  • Agar apne apna mobile number enter karke proceed kiya hai to aap ke uss register mobile number ke upar ek OTP aaega uss OTP ko yahan per type kar de. (agar apke registered mobile number ke upar OTP nahi aaya to aap Resend OTP per click karke dobara se OTP Manga sakte hain)

  • OTP enter karne ke baad VERIFY button per click kar de. Ab ek new page open hoga jismein aapka LPG ID number likha hua mil jaega.

  • Distributor Name Aur Consumer Number enter karke proceed kiya hai. To ek new page open hoga jismein aapka LPG ID number likha hua mil jaega.
ViewCloseComments
Cancel