-->

Pharmeasy vs Medlife - Which Is Better For You ? | Best Online Medicines Order App In India

Pharmeasy vs Medlife - Which Is Better For You ? | Best Online Medicines Order App In India

Guys aaj ke samay mein ghar ke kisi Na kisi ek member Ko koi Na koi bimari hoti hi hai chahe vah chhoti bimari ho ya badi uske liye use medicine ki jarurat padati hai vah medicine vah Apne near chemist shop se purchase karta hai lekin aaj ke time per har ek vyakti digital hota ja raha hai usi tarah digital company kafi sari aa gai hai jo aapko mobile application ki madad se jo medicine aapko purchase karni hai vah aap uss application mein search karke purchase kar sakta hain aur discount bhi kafi jyada milta hai local chemist shop per kuchh chemist wale discount dete Hain aur kuchh vah discount bhi nahi dete.

maximum logon ke maan mein yah doubt hota hai ki vah agar online medicine order karte Hain To vah original medicine dete Hain aur time per delivery milati hai ya nahi in Jaise aur bhi kafi sare doubts aate Hain.

To aaj main aapko India ki 2 most popular application Pharmeasy app and Medlife app ke bare mein bataunga yah Mera personal experience hai kyunki main ine dono application se kafi time se medicine order karta rahata hun. Inn dono per aapko 100% original medicine milegi, time per delivery milegi aur achcha discount milega.

Pharmeasy App Vs Medlife App

Pharmeasy App

Pharmeasy vs Medlife - Which Is Better For You ? | Best Online Medicines Order App In India

  • Good Point

  1. Application use karna kaafi aasan hai. Aasani se medicine search Ho jaati hai.
  2. Ismein aapko ek bucket ka option dekhne Ko mil jaega jiski madad se aap 1 ya 1 se jyada medicine ko add karke ek sath purchase kar sakte ho.
  3. Order ki online payment karne per offers milte Hain.
  4. Iske andar aapko discount 20% milega lekin agar aap first time purchase karoge aur promo code use karoge To aapko 30% discount milega.
  5. Customer care support kafi achcha hai Inka customer care number hai jiska apni koi si bhi enquiry kar sakte hain.
  6. Order ki delivery time per Ho jaati hai.
  7. 30 days return policy Hoti hai matlab agar aap kisi order Ko receive karte Hain aur usmein se kisi medicine ko return karna chahte hain ya pura order return karna chahte hain to 30 days ka time period hota hai is bich aap kabhi bhi return karva sakte ho.
  8. kisi bhi medicine ko return karna kafi jyada aasan hai aur uss medicine ke paise direct bank account mein transfer ho jate hain ya pharmeasy wallet main add karva sakte hain jiski madad se aap future mein jab bhi medicine purchase karenge to pharmeasy wallet se paise less Ho jaate Hain.

  • Bad Point

  1. Order ki packing plastic bag mein pack karke bheji jaati hai.

  • DOWNLOAD

Medlife App

Pharmeasy vs Medlife - Which Is Better For You ? | Best Online Medicines Order App In India

  • Good Point

  1. Application use karna kaafi aasan hai. Aasani se medicine search Ho jaati hai.
  2. Ismein aapko ek bucket ka option dekhne Ko mil jaega jiski madad se aap 1 ya 1 se jyada medicine ko add karke ek sath purchase kar sakte ho.
  3. Order ki online payment karne per kafi acche acche offers milte Hain.
  4. Iske andar aapko discount 20% milega lekin agar aap first time purchase karoge aur promo code use karoge To aapko 30% discount milega.
  5. Order ki packing ek box mein pack karke Di jaati hai.
  6. 30 days return policy Hoti hai matlab agar aap kisi order Ko receive karte Hain aur usmein se kisi medicine ko return karna chahte hain ya pura order return karna chahte hain to 30 days ka time period hota hai is bich aap kabhi bhi return karva sakte ho.
  7. kisi bhi medicine ko return karna kafi jyada aasan hai.

  • Bad Point

  1. Customer care support kafi jyada kharab hai koi si bhi enquiry karni ho to customer care number lagta hi nahi hai.
  2. Kuchh area mein Order ki delivery time per nahi milati aur Kai Bari delivery date ke bad order deliver karne aata hai delivery boy aur Kai Bari order automatic cancel kar diya jata hai Bina puche.
  3. Agar aap kisi medicine ko return karte Hain To Uske paise Keval MedLife wallet main add hote hain aap Bank mein transfer nahi kara sakte.

  • DOWNLOAD
ViewCloseComments
Cancel

  • Facebook
  • Contact
  • Twitter
  • Instagram
  • YouTube
  • Telegram