Guys agar aapke pass Indane Gas ka cylinder hai aur aapne abhi tak Indane gas ke online portal mein registration nahi kiya hua to yah artical aapki kafi jyada help Karega ki kaise registration Kiya jata hai aur login hote Hain.
Agar aapko Indane gas ke online portal mein registration ka benefit nahi pata to aapko main Bata deta hun agar aap online registration kar lete hain to aap jab chahe online gas cylinder ki booking kar sakte hain aur online payment de sakte hain agar aap ka mobile number or email ID galat Dala hua hai ya change karna hai to aap usse online update kar sakte hain. Sath hi jo bank account aapne link Kiya hua hai to aap usse change Karana chahte hain to aap new bank account bhi update kar sakte hain isse portal mein.
How To Register Indane Gas Online
- Go to Indane Oil Portal
- Select Register link
- Enter information
- First Name :- Enter Karna Jaruri Hai
- Last Name :- Enter Karna Jaruri Hai
- Mobile Number :- Enter Karna Jaruri Hai
- Email ID :- optional hai matlab enter karna jaruri nahi hai.
Ismein Naam aur mobile number usi vyakti ka aaega jiske Naam per vah gas connection register hoga.
- Information Enter karne ke bad Re-captcha mein I'm not a Robot box per click kar de.
- Last mein Proceed button per click kar de.
- Aapne jo registration page mein mobile number enter kiya hoga uss per 4 digit ka OTP aaega uss OTP ko iss page mein enter karna hai. (Agar OTP receive nahi hua hai to Resend OTP per click karke OTP dobara apne mobile per Manga sakte ho)
- OTP enter karne ke bad VERIFY button per click kar de.
- Ab ek new page open hoga jismein aapko new password create karna hoga. Password kaisa hona chahiye uske liye ek Example :- 12345@name
- New password and confirm password enter karne ke bad SUBMIT button per click kar de.
- Ab aapka successfully account create ho gaya hai.
- Ab home page par aa jaaye vahan par aapko login ka link dikhega uss par click kar de.
- Login karne ke liye aapko apna register mobile number ya email id enter karna hai.
- Enter karne ke bad Continue button per click kar de.
- Ab ek new page open hoga jismein aapko apna Password enter karna hai.
- Password enter karne ke bad Re-captcha mein I'm not a Robot box Par click kar de.
- Last mein SUBMIT button par click kar de.
- Login hone ke bad LPG option ko select kar lena hai.
- Ab aapko niche ki taraf jana hai vahan per Link Your Existing LPG Connection ka box show hoga jismein Link Now par click kar de.
- Next page mein LPG ID number type karna hai jo 17 digit ka hota hai. Jismein se starting ka pehla number enter hoga aapko Uske bad ke 16 digit enter karna hai.
- Enter karne ke bad SUBMIT button per click kar de.
- Ab aapka successfully login ho chuka hai. Ab aap jab chahe Apne detail check kar sakte hain aur update karna chahe to update kar sakte hain. Aur online gas booking kar sakte hain.