Google Question Hub Kya Hai ?

Google Question Hub Kya Hai ?

Guys jab bhi hamare Man mein koi sawal aata hai To hum usse kisi se poochh kar uska jawab jaanne ki koshish karte hain lekin Agar uska jawab uss vyakti ko bhi nahi pata hota To hum Google mein search karte hain Google par bahut se aise question hai jinka answer Google ko bhi nahi pata hota.

Google ek Aisa source ban gaya hai. Jis per hum sabhi sawalon ke jawab dhundhne ki koshish karte hain hamen koi bhi jankari chahiye To hum turant Google ki madad lete hain Google per aapko har tarah ke sawalon ke jawab mil jaate Hain. Is facility ko aur bhi behtar banane ke liye Google ne Google Question Hub ka Nirman Kiya hai jo Keval blogger ke liye hi sabse jyada important hai. Jaise Quora ek platform hai jiske upar koi bhi vyakti apna question poochh sakta hai. Agar uss question ka kisi Ko answer pata hai To vah uska answer Bata deta hai. Vaise hi Google ne bhi Apne blogger per Kam karne Wale users ke liye yah facility lekar aayi hai.

Google Question Hub Kya Hai

Google Question Hub Google ke dwara banaya Gaya hai. Yah tool bilkul free hai. Iss tool ko web master ke liye launch Kiya gaya hai. Iss tool ki madad se voh sabhi jankari prapt ki ja sakti hai jo Google par search karne ke bad bhi users Ko nahi milati hai. Yah blogger publisher ke liye kafi Helpful hai. Is tool ki madad se un topics ke bare mein pata lagaya ja sakta hai. Jisse users Google per jyada se jyada search karte hain. Iss tool ki madad se publisher ko aise new questions ke bare mein pata chalega jinke bare mein agar usse information hai to vah uss question per topic ke roop mein Apne blog mein article likh sakta hai.
ViewCloseComments
Cancel