How To Transfer Amazon Pay Balance To Paytm | Convert Your Amazon Pay Balance To Paytm

How To Transfer Amazon Pay Balance To Paytm | Convert Your Amazon Pay Balance To Paytm

Guys aaj ke samay mein Paytm ka use har ek vyakti karta hai aur Agar aapko kisi ko paise ka bhugtan karna ho to maximum har ek dukandar Paytm se paise accept karta hai. Aise hi Amazon pay bhi kafi famous hai apne offers, gift cards and other benefit ke mamle mein. Lekin Agar kisi vyakti ke Amazon pay balance mein paise add ho to vah Keval Amazon shopping karne mein hi unka use kar sakta hai. Un paison ko kisi wallet mein transfer nahi kar sakta Jaise Paytm wallet. Lekin aaj main aapko 2 aisi tricks ke bare mein bataunga jis ki madad se aap Amazon pay ke balance ko Paytm wallet ya kisi bank account mein kafi aasani se transfer kar sakte hain.

How To Transfer Amazon Pay Balance To Paytm

#Trick 1

  • Install SnaPay App

  • Create a new account using Google or Facebook.

  • Enter the phone number and verify OTP.

  • Ab apna permanent address enter Karen. Enter karne ke bad Submit button click kar de.

  • Ab next page main aapko apne Bank Account ki detail enter karni hai. (Paytm ya other payment Bank ka bhi account add kar sakte ho)

  • Ab Payment Request Options mein jaaye. Yahan per jitna amount Apne bank account mein transfer karna chahte hain vah amount enter Karen.

  • Continue button per click kar do. Uske bad aapko payment option select karna hai jismein aap wallet option select kar le. Select karne ke bad aapko Amazon pay select karna hai.

  • Login your Amazon account. (online transaction charges 2.99% alag se pay karne padenge)

  • jab aapke sare steps complete ho jaenge Uske bad aapka amount uss bank account mein transfer Ho jayega Jo aapne registration karte samay enter Kiya hoga.

#Trick 2

  • Install Club factory App

  • Application open karne ke bad Create your account ya login Kare Apne club factory account se.

  • Jo bhi aap order karna chahte hain vah order kar do. Uske bad delivery address enter kar de.

  • Ab aapko payment option select karna hai ismein Amazon pay select Karen aur order place kar de.

  • Ab kuchh minut wait karne ke bad apna order cancel kar de. Order cancel karne ke bad 7 ghante Tak wait Karen.

  • Kuchh time wait karne ke bad aapne Jo amount paid Kiya hoga vah aapke club factory wallet mein refund ho jaega.

  • Ab aap uss amount ko Apne Paytm ya kisi bank account mein transfer kar sakte ho.
ViewCloseComments
Cancel