How To Use Google Find My Device App In Android | Location Tracking | How To Find Lost Mobile

How To Use Google Find My Device App In Android | Location Tracking | How To Find Lost Mobile

Guys aaj ke samay mein har vyakti smartphone use karta hai aur uss smartphone mein vah apna personal data bhi store karke rakhta hai aur Agar vah smartphone chori ho jaaye ya kho jaaye to uss smartphone ko find  karna impossible Ho jata hai. Lekin aaj main aapko bataunga ki Agar aapne Apne smartphone mein Gmail ID create karke login Kiya hua hoga to aap apne smartphone ko kafi aasani se dhundh sakte ho uske andar sare data ko erase kar sakte ho aur uss smartphone mein lock Laga sakte ho vah bhi kisi dusre smartphone ki madad se. Kyunki Google find my device ek aisi application hai jiski madad se aap kisi bhi smartphone se Agar login kar lete ho to us email id mein jitne bhi device login honge unko control kar sakte ho.

Aap Agar chahte ho ki chori hua phone mil jaaye ya usmein password set Ho jaaye ya uska data erase Ho jaaye to uske liye aapko chori Huye smartphone ke andar Jo email id aur password ka use Kiya hoga uss email id aur password ka use karke aapko kaise dusre smartphone mein vah email id login karni hogi.

Agar aap kisi dusre Smartphone mein apni email id login karna nahi jante to niche diye Gaye steps ko follow Karein.

  • First go to Gmail App

  • Select your Profile logo.

How To Use Google Find My Device App In Android

  • Select Add another account.

How To Use Google Find My Device App In Android


  • Select Google >> Enter your lost Phone Email ID and Password.

How To Use Google Find My Device App In Android

How To Use Google Find My Device App In Android | Location Tracking | How To Find Lost Mobile

  • Install and Open Google Find My Device App

  • Select your Lost Phone Email ID >> click Continue button.

How To Use Google Find My Device App In Android

  • Enter your email Id Password.

How To Use Google Find My Device App In Android

  • Select your lost device.

How To Use Google Find My Device App In Android

  • Ab aapko niche ki taraf aapke device ki information dekhne ko milegi.

1) Agar vah smartphone switch On hai to uski Google map par location track kar sakte ho.


How To Use Google Find My Device App In Android

2) Agar aapne Apne smartphone ko ghar mein hi kahin aisi jagah rakh Diya hai ki aapko yad nahi aa Raha to aap Play Sound per click karke uss phone ki 5 minute Tak ring Baja sakte ho taki aapko pata chal jaega ki vah phone kahan per pada hua hai.

How To Use Google Find My Device App In Android

3) Agar aapka phone chori ho gaya hai ya kho gaya hai to aap secure device option per click kar de.

How To Use Google Find My Device App In Android

4) Ab aapke samne ek page open hoga password create karne ka. Ismein aapko ek password create karna hai vah password aapko yad hona chahiye. Aisa unique password create karne ke bad next per click kar de.

How To Use Google Find My Device App In Android

5) Ab ek next page open hoga jismein aapko lock screen message aur mobile number enter karne Ko kaha jayega yah optional hai matlab dalna jaruri nahi hai.

How To Use Google Find My Device App In Android

(Agar aap information Dena chahte Hain taki jis vyakti ko bhi aapka smartphone mile to vah Agar aap se contact karna chahta ho to home screen per hi apka contact number aa jaega aur jo message aap Dena chahte ho vah bhi show ho jaega. iski madad se vah aapse baat kar sakta hai aur aapko aapka smartphone Lota sakta hai.)

6) Information enter karne ke baad Secure Device per click kar de.


  • Agar aap chahte Hain ki aapke chori hue smartphone ka sara data automatic erase ho jaaye matlab delete ho jaaye. To Erase Device option per click kar de.

How To Use Google Find My Device App In Android

  • Ab ek new page open hoga jismein aapko Erase Device button per click kar dena hai.

How To Use Google Find My Device App In Android

(Jab bhi vah chori hua phone switch on hoga aur internet / Wi Fi se connect hoga to vah automatic format ho jaega aur aapka jitna bhi personal deta hai vah Sara delete ho jaega.)
ViewCloseComments
Cancel