Advanced SEO Settings For Blogger 2020 | Complete On Page SEO
Apne blog ko Google per rank karne ke liye yah kafi important hai.Aaj main aapke blogger ke liye aisi advance SEO setting batane ja raha hun. Jisko set karne se, aap apne blog post ko Google ke first page mein rank kar sakte hain. To agar aap apne blog post ko rank karna chahte hain to niche diye Gaye mere sabhi instruction ko follow Karen.
- Title
- Heading
- Search Description
- Tags
- Permalink
Title
Blog ka title sabse jyada important hota Hai. Kyunki yadi aap ka title achcha nahi Hai. To user's iske upar click karke aap ki website per nahi ayenge. Isiliye aapko title bahut acche se likhna hoga aur yah dekhne mein attractive hona chahiye.
Heading
Aap Jo bhi post likh rahe hain. Uski pahle Heading acchi hone chahiye. H1, H2, H3 Jaise title likhate time heading tag ka use Karen aur aap blogger ki best advance SEO ke liye Subheading tag ka bhi use Karein.
Search Description
SEO ke liye search description dena kafi faydemand hota Hai. Har post mein aapko search description Dena hota hai. Kisi bhi post ke topic se Jude behtar keywords bhi search description mein dena jaruri hota Hai. Agar aapke description main topic se related keyword Hai. To aapko Google mein apni post ko rank karne main kafi aasani hogi.
Tags
Yah aapke post ki life hai. Yadi aap post mein TAG nahi lagate Hain. To aapka post bilkul bhi rank nahi Karega. Isliye jab bhi aap koi post likhate hain. To TAG lagana na bhule yah Google main rank karane mein kafi jyada important hota Hai.
Permalink
Blogger main aapko custom Permalink ka option bhi milta hai. Aap iski madad se apne blog post ke link ko change kar sakte ho. Jo kafi achcha hai. kyunki Jo permalink default mein set rahata Hai vah alag tarike se likha hota hai. To ab aap isse change kar sakte hain. Aur blogger ke behtar advance SEO ke liye apni post mein customize link add kar sakte ho.