Guys Agar aapane Indian railway ki ticket online book nahin kari direct station per jakar counter ticket book kari hai to aapko Agar vah journey cancel karni hai matlab confirm counter ticket ko cancel karna hai ya RAC/waiting ticket ko cancel karke paise refund lene hai. To aapko jis station se ticket book kari hai vahan per jaane ki jarurat nahin ticket cancel aap apne Android mobile mein hi kar sakte hain. IRCTC ne apne official site pr ek option add Kar Diya Hai jiski madad se customer apne counter ticket easily cancel kar sakte hain chahe vah confirm ho ya RAC/waiting mein ho.
Counter ticket kaise cancel karni hai aur iska refund kaise milega yah sari jankari step by step is article mein dunga.
Counter ticket cancel karane se pahle aapko cancel karane ki timing pata hone chahiye
- Train ke chalne (departure time) se 24 ghante ke bich mein aap counter ticket cancel kara sakte hain. Isase pahle cancel nahin ho sakte.
- Confirm counter ticket train ke chalne (departure time) se 4 ghante pahle tak he cancel ho sakti hai.
- RAC/Waiting counter ticket train ke chalne (departure time) se 30 minut pahle tak he cancel ho sakti hai.
Ticket cancel karne ke liye niche diye Gaye steps ko follow Karen
- Go IRCTC official ticket cancel site :- Click Here
- Option Transaction Type - Select Cancellation
- Enter PNR Number >> Enter Train Number >> Enter Captcha
- Select check box (I have read cancellation/boarding point change procedure and its rule).
- Click Submit button.
- Submit button click karne ke bad new page open hoga. jis ticket ko Cancel kar rahe hain uske andar Jo mobile number registered Kiya hoga us pr ek OTP aaega use OTP ko aapko enter karna hai.
- OTP enter karne ke bad submit button click kar de.
- ab aapke samne ek page open hoga ticket details ka usmein Puri detail hogi aapki journey ki uske theek niche passenger details hogi. (Note :- counter ticket book karte samay ek PNR number main jitne bhi pessengers ki ticket book hogi 1 ya 1 se jyada sabhi ki ek sath ticket cancel hogi. Agar aapko 1 ticket cancel karni hai to aapko usi station per jana padega Jahan se apna ticket book Kari hogi)
- Enter submit button.
- Submit button enter karte hi aapko ek box show hoga jismein ok button per click karna hai.
- Ok button click karte he aap ki ticket successfully cancel ho jayegi aur ek page open hoga jismein refund amount aur uske alava Jo cancellation charges Hai vah Sari jankari hogi.
- Ab print button click karke print kar le ya screenshot lekar apne mobile mein rakh le. Kyunki aapki yahi cancel transaction aur ticket aapko PRS counter pr dikhani padegi tabhi aapko refund milega.
Note:- PRS (Passenger Reservation System) counter vah hota hai jo cancel ticket ke paise refund karta hai. yaha counter sabhi railway stations mai available hota Hai.
- Refund kaise milega ?
Aapane jis bhi station se ticket book ki hai aap chahe to vahan per jakar refund ka paise Le sakte hain ya kisi other state mein gaye hue hain to aapke Jo near railway station Hai vahan per jakar PRS counter main train ki ticket aur cancel transaction ko dikha kar refund pa sakte hain.