-->

Indian Railway Ticket Cancellation Charge Rules | IRCTC E Ticket Cancellation Charges | In Hindi


Guys Agar aapane bhi Indian railway (IRCTC) Ki kisi bhi train ki online ticket book kari hai lekin kisi Karan aapko vah ticket cancel karane hai.

To vah ticket cancel karvane ke charges lagte Hain ya Nahi. Agar charges lagte Hain To kitne charges lagenge aur kitne time pahle aap ticket cancel kar sakte ho yah sari jankari aapko is blog mein milegi.

Kisi bhi ticket ko cancel karvane ke IRCTC ne alag alag charges leti hai. Vah depend karta hai ki aap kitne samay pahle apni ticket cancel kara rahe hain.
  • Agar aap apne confirm/RAC ticket booking station pr train ke chalne (departure) sa 48 ghante pahle cancel karate Hain To charges is prakar hai.
  1. AC First Class/Executive Class (EC) tickets :- Rs.240 + GST
  2. AC 2 Tier and First Class tickets :- Rs.200 + GST
  3. AC 3 Tier/AC Chair car (CC)/AC 3 Economy class tickets :- Rs.180 + GST
  4. Sleeper class (SC) tickets :- Rs.120
  5. Second class (2S) tickets :- Rs.60
  • booking station pr train ke chalne (departure) se 48 - 12 ghante k beech mein agar aap ticket cancel karte Hain To 25% + GST cancellation charges ke roop mein katenge. Yah charges sabhi AC seats per Lagu hote Hain.
  • booking station pr train ke chalne (departure) se 12 - 4 ghante k beech mein agar aap ticket cancel karte Hain To 50% + GST cancellation charges ke roop mein katenge. Yah charges sabhi AC seats per Lagu hote Hain.
  • Agar RAC/Waiting list (WL) ki koi ticket ko booking station pr train ke chalne (departure) se 4 ghante pahle cancel karte ho to Rs.60 cancellation charges ke roop mein dene padenge.
  • agar aap tatkal ki confirm ticket ko cancel karte to iska Koi refund nahin milta lekin Agar tatkal ticket waiting mein chal rahi hai to vah automatically cancel Ho jaati Hai train ke chalne se 30 minut pahle. Or 7 din ke andar uska Paisa refund ho jaega jis bhi madhyam se aapane payment Kari hogi usi madhyam se paise aaenge.

Note :-
  1. Koi bhi ticket booking station se chalne (departure) sa 4 ghante baad cancel nahin kar sakte.
  2. service charge, transaction charge aur aur insurance charges refundable nahin hote Hain.
ViewCloseComments
Cancel