How To Send Messages To More Than 250 People In WhatsApp | WhatsApp Secret Trick

How To Send Messages To More Than 250 People In WhatsApp | WhatsApp Secret Trick

Guys aaj ke samay mein har ek vyakti Apne smartphone mein WhatsApp use karta hi hai. WhatsApp application itni popular hai ki har ek user ise use karna pasand karta hai aur yah application use karne mein kafi aasan hoti hai. WhatsApp message ya image ya video ya koi document bhejna kafi jyada aasan hota hai aur fast hota hai. Lekin agar koi message ek se jyada contact ke pass send karna ho to ek Bari mein maximum 5 contacts ke upar message send kar sakte hain. Agar aapko 5 se jyada contact per message send karna hai to aap message send nahi kar sakte ho.

To aaj main aapko ek aise WhatsApp ki unique trick ke bare mein bataunga jiski madad se aap ek sath 256 contacts per ek hi Bari mein message send kar sakte hain.

How To Send Messages To More Than 250 People In WhatsApp

  • Aapko sabse pahle apne phone mein WhatsApp ko open karna hoga.

  • Iske bad aap ko right side mein 3 dot najar ayenge in per click Karen ismein aapko New Broadcast ko select karna hai.

How To Send Messages To More Than 250 People In WhatsApp | WhatsApp Secret Trick

How To Send Messages To More Than 250 People In WhatsApp | WhatsApp Secret Trick
  • Iske bad aapko un sabhi vyaktiyon ke contact number select karne hai jinko aap message bhejna chahte hai.

  • Jab aap sabhi logon Ko select kar loge to uske bad aapko green tick per click karna hai.

How To Send Messages To More Than 250 People In WhatsApp | WhatsApp Secret Trick

  • Ab aapke paas ek list taiyar ho jayegi. jismein aap sabhi logon ko ek sath message send kar sakte ho.

Jyada se jyada users ko kar sakte hain message

Bata De whatsapp ke is khas feature ki madad se aap jyada se jyada logon Ko kam samay mein message kar sakte hain. khas baat yah hai ki kisi Ko bhi is bare mein pata nahi chalega ki aapne ek sath itne sare logon Ko message kiya hai is feature se aapka time bhi bacche ga aur Sath hi itne logon ko message bhejne ke liye apko group bhi nahi banana padega.
ViewCloseComments
Cancel