Guys agar aap bhi apne website ya blog ke kisi post mein aisa article likh rahe hain jismein Twitter ke kisi tweet ko add karna jaruri hai. Taki viewers jaan sake ki apne kis tweet ke behalf par is article mein baat kari hai. To yeh article aap ki kafi jyada help karega. Kyunki aaj main apko bataunga ki aap kaise Twitter ke kisi bhi tweet ko apne website ya Blog mein post kar sakte hai. Isse apke artical ka look aur viewers Ka read karne mein interest aur jyada increase hoga.
How To Add Any Tweet Of Twitter In Blogger Post
- Sabse pahle jis tweet ko aap apne article mein post karna chahte hain uska URL copy kar le.
- Go to https://publish.twitter.com/#
- Ab apke samne ek website open hogi usmein ek box hoga jis per likha hoga 'Enter a Twitter URL' uss box mein jo tweet ka URL copy Kiya Hai voh paste kar de.
- URL paste karne ke baad enter wala arrow click kar de.
- Enter click karte hi page thoda niche ki taraf jayega Jahan par uss tweet ka code generate ho jayega. Ab aapko ek button show hoga jis per likha hoga 'Copy Code' uss per click karke uss code ko copy kar le.
- Open Blogger Dashboard And Open Post (Jismein aap tweet post karna chahte hai)
- Now Go To HTML
- Ab jis place par aap tweet add karna chahte hain vahan par ussi tweet ke code ko paste kar de Jo apne copy kiya tha.
- Ab aap apne post ko publish kar sakte hain agar chahe to uska preview bhi check kar sakte hain.